Shuruwat rengate hue ki thi,
Par ab chalna seekh gya hu,
Thodi si thakawat hui hai,
Par ab chalna seekh gya hu..
Par ab chalna seekh gya hu,
Thodi si thakawat hui hai,
Par ab chalna seekh gya hu..
Pairo me thokre bahut lagi,
Choten bhi bahut khayi hai,
Upar niche hone wali in dagro pe,
Ab chalna seekh gya hu..
Choten bhi bahut khayi hai,
Upar niche hone wali in dagro pe,
Ab chalna seekh gya hu..
Koi raste me mile the,
Koi raste me hi chuth gye,
Akela chala tha akela hi rukunga,
Par ab chalna seekh gya hu..
Koi raste me hi chuth gye,
Akela chala tha akela hi rukunga,
Par ab chalna seekh gya hu..
Kahi ruke toh bas jane ka mann kiya,
Kahi thame to wahi tham jane ka mann kiya,
Par manjil ke raste me adachane bahut hai,
Par ab chalna seekh gya hu..
Kahi thame to wahi tham jane ka mann kiya,
Par manjil ke raste me adachane bahut hai,
Par ab chalna seekh gya hu..
Pairo me chaale pad chuke hai,
Thoda sa khoon bhi bahaa hai,
Par manjil ki roshni ka apna maja hai.
Thoda sa khoon bhi bahaa hai,
Par manjil ki roshni ka apna maja hai.
Thokre khana seekh gya hu, Ab chalna seekh gya hu..
No comments:
Post a Comment